Computer Ko Hang Hone Se Kaise Bchaayen ? Tips Padhe Hindi Me



Computer Ko Hang Hone Se Kaise Bchaayen ? Tips Padhe Hindi Me 
Dosto Namste , me hamesha ek hi soch lekar chlta hun ki aaj mere blog par kisi bhaai ya bahin ki help kar saku , pichle dino me busy tha to daily post nahi kar paata tha abhi ummid hai ki mujhe mere kaam se kuch raaht milegi or me daily ek yaa do post to jrur hi kar dunga .
Aaj baat karte hai ki computer ko hang hone se kaise bchaayen . .. aaj ke jmaane me aisa koi hoga jo computer use naa krta ho or jo computer use karte hai unhe jankari to bahut hoti hai par bahut baar ek choti si chij ko ignore kar dete hai jiski vjh se pura computer bigd jaata hai .
computer hang hone se kaise bchaayen ?
Hmari jindgi me computer aaj ahm bn gya hai ham khaana chod sakte hai par computer ya facebook nahi chod sakte hai isi kaarn hame computer ki bahut si jaankari bhi hoti par mene pahle hi khaa hai ki jayada gyani log ek choti si chij ko ignore kar dete hai or pura computer bigdwa lete hai .
Computer Hang Kyo Hota Hai ?
Ye swaal har kisi ke man me ataa hai or iske jbaav alg alg hote hai aaj unhi jbaawo ko me aapko srl tarike se smjhane ki koshsis kruga .
Computer ke hang hone ka mukhy kaarn hai Apke computer ki RAM kam hona isi ke kaarn sabse jyada Computer hang hote hai kyoki ham computer me RAM se adhik bahut kuch dalne ki koshis karte hai or isi vjh se hang ho jaata hai Apka yaa hmara computer .
Adhik software apne computer me rkhna Sabse badi galti hoti hai ye ek computer user ki wo unchaahe software apne computer me rkhte hai iski sabse badi vjha yahi hai ki agr aapke computer me jyada software honge to aapka computer hang hoga .

Karan ! jab bhi apke computer ko aap on karte hai to uske background me aapke sabhi software chlte hai usi ki vjh se aapke computer me hang hone ki problem aati hai |

Computer Hang hone se kaise bchaaye Ab baat aati hai ki hm apne computer ko hang hone se kaise bchaaye , to sabse pahle aap ye sunichit kren ki aapko aapke computer me kon kon se software rkhne hai . jitney software par aap work karte ho wo software aap rkhen baaki ke sabhi software uninstall kar den .
Agar aapko sabhi software kaam ke hai to ? to ghbraane ki baat nahi aapko bas software kam rkhne aapko ek kaam krna hoga aapko apni pendrive me un sabhi software ke setup rkhne honge jo aap use karte hai or jaise hi aapko kisi bhi software ki jrurt pade use install kar leve or baad me uninstall bahut se computer user aise hi karte hai ..

Agr bahut jayada Computer  hang ho rha hai to try Karen ye trick
Sabse pahle start menu par click kare search bar me jaaye or %temp% type karte hi Entere dbaaye ek folder open hoga aap use all select kare or Delete kar den . agar Ric Recycle Bin me koi bhi delete file nahi rkhna chahte hai to aap sift+delete dbaaye jisse deleted item Recycle Bin  me nahi jaaygee .
Ek or trick computer ko hang hone se bchane ke liye
Sabse pahle aapko start menu par click karna hai then aapko serch baar me type krna ha Cleanmgr and enter dbana hai usme likha ayega Delete c drive Temporary file aapko ok karna hai then 2 min wait karna hai uske baad ek baar or ok krna hai ..
Aapke computer ki speed pahle se jyada badh jaayegi ..

Ummid hai ki aapko hmaare dwara di gai jankari acchi lagi hai aap apne dosto ke sath bhi share kar skate hai |  

Computer hang
computer hang hone se kaise bchayen


Previous
Next Post »

Advertisment